sabr-o-taslīm kī sipar bhī nahīñ
aur tadbīr kār-gar bhī nahīñ
tujh se tark-e-ta.alluqāt bhī hai
aur tirī yaad se mafar bhī nahīñ
ab ye kam-himmatī kā aalam hai
e'timād apne-āp par bhī nahīñ
ġham kī tīra-shabī ma.āz-allāh
ab to andāza-e-sahar bhī nahīñ
manziloñ kā surāġh DhūñDhte haiñ
jo sazā-vār-e-rahguzar bhī nahīñ
dil nahīñ mo'atabar na ho lekin
mo'atabar kyā tirī nazar bhī nahīñ
ham pe kyuuñ charḳh kī nigāh paḌī
ham to kuchh aise nāmvar bhī nahīñ