har nazar intiḳhāb ho jaa.e
aap apnā javāb ho jaa.e
phir ḳhayāloñ kī jannateñ na rahīñ
to agar be-naqāb ho jaa.e
kahīñ aisā na ho ki dūr-rasī
ḳhud nazar kā hijāb ho jaa.e
nashsha-e-zīst ai ma.āz-allāh
aur jab ġham sharāb ho jaa.e
kam na ho lazzat-e-hayāt agar
terā ġham be-hisāb ho jaa.e
dekh le tū agar mohabbat se
zindagī kāmyāb ho jaa.e