karūñ tujh se bevafā.ī ye kabhī ravā nahīñ thā
use bevafā na kahnā ki vo bevafā nahīñ thā
ye kisī kī sāzisheñ thiiñ yā thī marzī-e-zamāna
mirā tujh se duur honā mirā faisla nahīñ thā
kahīñ duur aa ga.ī thī maiñ hudūd-e-zindagī se
mire paas vāpsī kā koī rāsta nahīñ thā
mire hālat-e-zubūñ se thā har ek shaḳhs vāqif
maiñ ye kaise maan jā.ūñ ki tujhe patā nahīñ thā
rahī saath zindagī ke maiñ kuchh aise zindagī bhar
mirā zindagī se jaise koī vāsta nahīñ thā
rahe dil pe ai zamāne tirā zor-o-jabr kab tak
kyā faqat tirā ḳhudā thā kyā mirā ḳhudā nahīñ thā
use bhūlne kī 'ḳhanda' kī hazār baar koshish
use bhūlne kā lekin mujhe hausla nahīñ thā