ġham-gusārī kā hai aalam duur tak
ghaas par phailī hai shabnam duur tak
ek hī jaisī fazā hai chār-sū
ek hī jaisā hai mausam duur tak
zaḳhm apne dekh kar zāhir huā
bāñTtā hai koī marham duur tak
chheḌtī hai be-ḳhudī ke silsile
shab ke sannāToñ meñ sargam duur tak
apne mustaqbil se hote bā-ḳhabar
dekh paate kaash jo ham duur tak
sāhil-o-dariyā ko 'ḳhanda' kyā likhūñ
dekhtī huuñ koī sañgam duur tak