Farkhanda Rizvi

umr bhar ki dosti ka han bharam rakkha na tha

Farkhanda Rizvi

Pakistan

umr bhar kī dostī kā haañ bharam rakkhā na thā
ba.ad muddat ke khulā mujh pe ki vo merā na thā
yuuñ jalā.e zindagī bhar maiñ ne yādoñ ke charāġh
sāmne jin ke charāġh-e-dīgarāñ jaltā na thā
kal maiñ us kī guftugū suntī rahī suntī rahī
is mohabbat se vo pahle to kabhī bolā na thā
kuchh to andāza thā mujh ko us kī āñkhoñ kā magar
dil kī hālat kā ye us ne baab yuuñ kholā na thā
sochtī huuñ kyuuñ maiñ jaise guñg ho kar rah ga.ī
is tarah siine meñ dil pahle kabhī dhaḌkā na thā
e'tirāf-e-ishq ne namnāk kī āñkheñ mirī
aañkh meñ kājal qasam hai is tarah phailā na thā
us kī ḳhvāhish thī so 'farḳhanda' maiñ qaa.il ho ga.ī
vo payām-e-ishq bhejegā kabhī sochā na thā
Top Urdushayar.com