Farkhanda Rizvi

dil ka aalam bhi hua hai aalam-e-hu ki tarah

Farkhanda Rizvi

Pakistan

dil kā aalam bhī huā hai ālam-e-hū kī tarah
aañkh meñ tū har ghaḌī rahtā hai aañsū kī tarah
dil ke mausam meñ kabhī tabdīliyāñ aatī nahīñ
lagtī hai bād-e-sabā bhī kankanī lū kī tarah
ik tasavvur se tire mahkā hai merā añg añg
tū mire ehsās meñ bastā hai ḳhushbū kī tarah
saḳht kaalī raat meñ ummīd kā nanhā diyā
hai farozāñ dil meñ ik ma.asūm jugnū kī tarah
vasl kā aalam ki jaise hoñ shafaq kī lāliyāñ
hijr kā māhaul hai qurbat ke jaadū kī tarah
aa ga.ī lafzoñ meñ bhī lahje kī talḳhī is qadar
aap bhī us ne kahā mujh ko magar tū kī tarah
dhuup meñ baiThī thī apne baaġh meñ aur yuuñ lagā
Tahniyāñ do shajar kī haiñ us ke baazū kī tarah
guftugū kā ik alag munfarid andāz hai
lafz us ke bolte haiñ jaise ghuñghrū kī tarah
us ko bhī har vaqt rahtā hai talaffuz kā ḳhayāl
ishq maiñ ne bhī kiyā hai us se urdu kī tarah
dekhte hī dekhte 'ḳhanda' guzar jā.egī umr
vaqt hāthoñ se nikal jā.egā jugnū kī tarah
Top Urdushayar.com