Farkhanda Rizvi

jism ki diwar ke bahar na dekh

Farkhanda Rizvi

Pakistan

jism kī dīvār ke bāhar na dekh
dūsroñ kī aañkh se manzar na dekh
dushmanoñ kī ḳhāmiyoñ par rakh nazar
dostoñ ke haath meñ ḳhanjar na dekh
dahr meñ rakh har nafas se ḳhud ġharaz
ghar ke hote aur koī ghar na dekh
yuuñ bhī hai tujh ko bikharnā ek din
zaat ke ā.īne se bāhar na dekh
be-qarārī hī muqaddar hai tirā
nāz-o-andāz-e-dil-e-muztar na dekh
ho chukī 'ḳhanda' har ik sozish tamām
be-sabab ab raakh ke andar na dekh
Top Urdushayar.com