Farkhanda Rizvi

kam hi hote hain muqaddar ke sikandar chehre

Farkhanda Rizvi

Pakistan

kam hī hote haiñ muqaddar ke sikandar chehre
kitne murjhā.e haiñ in chehroñ ke andar chehre
ahl-e-kashtī ko to sāhil ke hī ḳhvāb aate haiñ
taktā rahtā hai safīnoñ ke samundar chehre
qahr kyā TuuT paḌā raat ko us bastī par
jale jhulse jo nazar aate haiñ ghar ghar chehre
dil meñ ik jaltā huā tiir utar jaatā hai
jab ghaḌī bhar meñ badal jaate haiñ tevar chehre
ye nahīñ sochte qātil bhī to ho sakte haiñ
chāñd ke bhes meñ tārīk se bad-tar chehre
āsmān aur zamīñ par to nahīñ haiñ 'ḳhanda'
terī tasvīr ke chehre ke barābar chehre
Top Urdushayar.com