kam hī hote haiñ muqaddar ke sikandar chehre
kitne murjhā.e haiñ in chehroñ ke andar chehre
ahl-e-kashtī ko to sāhil ke hī ḳhvāb aate haiñ
taktā rahtā hai safīnoñ ke samundar chehre
qahr kyā TuuT paḌā raat ko is bastī par
aise jhulse jo nazar aate haiñ ghar ghar chehre
buġhz-o-nafrat ke hadaf haiñ ye siyāsat ke qatīl
bhūke nañge haiñ ye bhaTke hue dar-dar chehre
dil meñ ik tiir jo sur.at se utar jaatā hai
jab ghaḌī bhar meñ badal jaate haiñ tevar chehre
ye nahīñ sochte qātil bhī to ho sakte haiñ
chāñd ke bhes meñ tārīk se bad-tar chehre
farsh kyā arsh pe bhī milte hī nahīñ haiñ 'ḳhanda'
terī tasvīr ke chehre ke barābar chehre