vasl kī shab meñ bhī ham bāham digar royā kiye
maiñ judā.ī se vo mere haal par royā kiye
us ne zaanū ġhair kā apne rakhā jab zer-e-sar
apne zaanū par ham apnā rakh ke sar royā kiye
us ne aañsū ġhair ke poñchhe jab apne haath se
ham-nashīñ ye mājrā ham dekh kar royā kiye
ho gayā mushkil mirī mizhgāñ se mizhgāñ kā milāp
haa.il ik dariyā huā ham is qadar royā kiye
surḳh-rū be-ābrūī meñ bhī ham 'san.at' rahe
ḳhushk jab aañsū hue laḳht-e-jigar royā kiye