Iqbal Sajid

ghaar se sang haTaya to wo Khaali nikla

Iqbal Sajid

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1932-1988
ġhaar se sañg haTāyā to vo ḳhālī niklā
kisī qaidī kā na kirdār misālī niklā
chaḌhte sūraj ne har ik haath meñ kashkol diyā
sub.h hote hī har ik ghar se savālī niklā
sab kī shakloñ meñ tirī shakl nazar aa.ī mujhe
qur.a-e-fāl mire naam pe gaalī niklā
raas aa.e mujhe murjhā.e hue zard gulāb
ġham kā partav mire chehre kī bahālī niklā
kab gayā jism magar saa.e to mahfūz rahe
merā shīrāza bikhar kar bhī misālī niklā
raat jab guzrī to phir sub.h-e-hinā rañg huī
chāñd kī tarah mirā aks ḳhayālī niklā
taḳht ḳhālī hī rahā dil kā hamesha 'sājid'
is riyāsat kā to koī bhī na vaalī niklā
Top Urdushayar.com