ruḳh-e-raushan kā raushan ek pahlū bhī nahīñ niklā
jise maiñ chāñd samjhā thā vo jugnū bhī nahīñ niklā
vo terā dost jo phūloñ ko pathrāne kā aadī thā
kuchh us se sho.abda-bāzī meñ kam tū bhī nahīñ niklā
abhī kis muñh se maiñ da.avā karūñ shādāb hone kā
abhī tarshe hue shāne pe baazū bhī nahīñ niklā
gharoñ se kis liye ye bhiiḌ saḌkoñ par nikal aa.ī
abhī to bāñTne vo shaḳhs ḳhushbū bhī nahīñ niklā
shikārī aa.e the dil meñ shikār-e-ārzū karne
magar is dasht meñ to ek aahū bhī nahīñ niklā
tirī bhī husn-kārī ke hazāroñ log haiñ qaa.il
galī-kūchoñ se lekin us kā jaadū bhī nahīñ niklā
batā is daur meñ iqbāl-'sājid' kaun niklegā
sadāqat kā alam le kar agar tū bhī nahīñ niklā