ḳhauf dil meñ na tire dar ke gadā ne rakkhā
din ko kashkol bharā shab ko sirhāne rakkhā
fikr-e-me.ār-e-suḳhan bā.is-e-āzār huī
tañg rakkhā to hameñ apnī qabā ne rakkhā
raat fōtpath pe din bhar kī thakan kaam aa.ī
us kā bistar bhī kyā sar pe bhī taane rakkhā
ḳhauf aayā nahīñ sāñpoñ ke ghane jañgal meñ
mujh ko mahfūz mirī maañ kī duā ne rakkhā
ye alag baat samundar pe vo barsī 'sājid'
aur kisī khet ko pyāsā na ghaTā ne rakkhā