bhare safar meñ ghaḌī-bhar kā āshnā na milā
shadīd pyaas meñ sahrā sarāb sā na milā
guzar ga.e to hazāroñ nishāñ the pahle se
palaT ke aa.e to apnā hī naqsh-e-pā na milā
kabhī jo dhuup to paikar pighal ga.e saare
koī bhī naqsh mujhe mere ḳhvāb sā na milā
ruke hue sabhī aañsū chhalak ga.e lekin
vo shaḳhs phir bhī nigāhoñ se boltā na milā
Thahar ga.ī thī mire paas chāñdnī ki use
tumhāre shahar meñ koī bhī jāgtā na milā
havā ke saath hī āvāz lauT aa.ī hai
ḳhalā meñ phirtī rahī koī ham-navā na milā
chalā to merī nazar meñ hazār rāheñ thiiñ
bhaTak gayā to mujhe ghar kā rāsta na milā