jal rahā hai ik diyā āñkhoñ meñ aadhī raat kā
maiñ amānat-dār huuñ ab tak tirī sauġhāt kā
umr guzrī mausam-e-girya nahīñ Thahrā kahīñ
qarz ik baaqī rahā mujh pe kisī barsāt kā
duur hote jā rahe the sāhiloñ par do charāġh
bādbāñ ne rakh liyā thā aks bhī ik baat kā
dil meñ aur āñkhoñ meñ tujh se chhūT jaane kā malāl
tazkira hoñToñ pe lekin dūsre hālāt kā
jāgte sote meñ terī yaad ke pahlū bahut
aur har pahlū hai raushan aise imkānāt kā
ham bhī kuchh majbūriyoñ kī aaḌ meñ milte rahe
paas kuchh us ne bhī rakkhā mere ehsāsāt kā