yuuñ merī duāoñ meñ sadā kaañp rahī hai
jaise ki havāoñ meñ ridā kaañp rahī hai
hai tere karam se hī ḳhatā-kār kī baḳhshish
har saañs mirī rabb-e-ulā kaañp rahī hai
dhoī thī zabāñ garche mai-e-lāla se maiñ ne
lete hue kyoñ naam tirā kaañp rahī hai
kahne ko tujhe dekh hī letī haiñ nigāheñ
phir taur pe kyoñ tab.a-e-safā kaañp rahī hai
guzrī hai nasīm-e-saharī aaj ye kaise
har shāḳh tah-e-bād-e-sabā kaañp rahī hai
aadam kī duā hogī ye maqbūl sunā thā
phir pesh-e-ḳhudā kis kī navā kaañp rahī hai