mohabbat kar chukī hai kaam apnā
mujhe ma.alūm hai anjām apnā
nahīñ is mai-kade meñ kaam apnā
jahāñ mai ho parā.ī jaam apnā
mohabbat to mohabbat hī rahegī
zarūrat kuchh bhī rakh le naam apnā
muqaddar bhī badalnā jānte haiñ
guzārish hī nahīñ hai kaam apnā
jo ḳhud apnī nazar se gir chuke haiñ
unheñ bhī gardish-e-ayyām apnā
tum aur ye zahmat-e-tajdīd-e-ālam
mujhī ko sauñp dete kaam apnā
pareshānī muqaddar ban chukī hai
pareshānī meñ DhūñD ārām apnā
ḳhudā.ī ruḳh badalnā chāhtī hai
mire māthe pe likh do naam apnā
zamāna de na de paiġhām 'anjum'
zarūrat ḳhud karegī kaam apnā