guzreñge tere daur se jo kuchh bhī haal ho
ḳhud kaun chāhtā hai ki jiinā muhāl ho
maiñ ne tamām-umr guzārī hai dil ke saath
laao mire huzūr jo amr-e-muhāl ho
ye soch kar fareb-e-mohabbat meñ aa ga.e
ham itne ḳhush kahāñ jo natīja malāl ho
maiñ jaise ajnabī koī apne dayār meñ
tum jaise mere zehn meñ koī savāl ho
dil ke muāmalāt hī yaaro ajiib haiñ
apnī ḳhabar nahīñ hai to kis kā ḳhayāl ho
ham ehtiyāt-e-dīda-o-dil se guzar chuke
aa jaa.e sāmne jo ḳhudā-e-jamāl ho
soz-e-ġham-e-hayāt se 'anjum' gurez kar
lohā nahīñ hai dil jo tapāne se laal ho