ban ga.ī naaz mohabbat talab-e-nāz ke ba.ad
aur bhī aise ka.ī raaz haiñ is raaz ke ba.ad
qadr kyā soz-e-tajallī kī sahar saaz ke ba.ad
Thahar saktī nahīñ shabnam mirī parvāz ke ba.ad
apnī manzil to banā lete haiñ duniyā vaale
maiñ kahāñ jā.ūñ tirī jalva-gah-e-nāz ke ba.ad
maiñ hī duniyā kī sadā ban ke nahīñ huuñ ḳhāmosh
ḳhud bhī chup ho ga.ī duniyā mirī āvāz ke ba.ad
log āġhāz se karte haiñ talāsh-e-anjām
maiñ ne anjām na sochā kabhī āġhāz ke ba.ad
maiñ gunahgār-e-nasheman huuñ na pāband-e-qafas
fitratan kuchh to sukūñ chāhiye parvāz ke ba.ad
is mohabbat meñ hai tauhīn-e-mohabbat 'anjum'
vo agar mujh ko pukāreñ mirī āvāz ke ba.ad