Iqbal Sajid

sae ki tarah baDh na kabhi qad se ziyaada

Iqbal Sajid

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1932-1988
saa.e kī tarah baḌh na kabhī qad se ziyāda
thak jā.egā bhāgegā agar had se ziyāda
mumkin hai tire haath se miT jaa.eñ lakīreñ
ummīd na rakh gauhar-e-maqsad se ziyāda
lag jaa.e na tujh par hī tire qatl kā ilzām
badnām to hotā hai burā bad se ziyāda
ḳhvāhish hai baḌā.ī kī to andar se baḌā ban
kar zehn kī bhī nashv-o-numā qad se ziyāda
dekhūñ to mire jism pe shāḳheñ haiñ na patte
sochūñ to ghanā chhāñv maiñ bargad se ziyāda
rahne do ḳhalāoñ meñ mirī qabr na khodo
hai pyaar mujhe ḳhaak kī masnad se ziyāda
āñkheñ to lagī rahtī haiñ darvāze kī jānib
miltī hai ḳhushī apnī hī aamad se ziyāda
kyā jāniye kyā baat hai ik umr se 'sājid'
vīrān hai TuuTe hue marqad se ziyāda
Top Urdushayar.com