ye kyā shikva ki vo apnā nahīñ hai
mohabbat ḳhuun kā rishta nahīñ hai
jo maiñ ne kah diyā ho kar rahegā
mirā mashrab ġham-e-fardā nahīñ hai
bahut pahle maiñ us ko paḌh chukā huuñ
merī qismat meñ jo likkhā nahīñ hai
ghaTā rahtā hai dil meñ kuchh dhuāñ sā
ye bādal aaj tak barsā nahīñ hai
javānī jitne muñh utnī hī bāteñ
mohabbat aaj bhī rusvā nahīñ hai
vafā meñ rāhateñ kyā DhūñDte ho
vafā dīvār hai saaya nahīñ hai
ye baat ahl-e-nazar kab jānte haiñ
akelā to hai dil tanhā nahīñ hai
sahī apne na ban paa.e kisī ke
koī apnā na ho aisā nahīñ hai
mizāj-e-yār se nālāñ ho 'anjum'
tumheñ shāyad ġhazal kahnā nahīñ hai