Anjum Fauqi Badayuni

zindagi jis ka nam hai yaro

Anjum Fauqi Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-1995
zindagī jis kā naam hai yaaro
qissa-e-nā-tamām hai yaaro
aadmī ko davām ho ki na ho
ādamiyat davām hai yaaro
khilte jaate haiñ phuul rāhoñ meñ
kaun mahv-e-ḳhirām hai yaaro
zindagī kā koī maqām nahīñ
zindagī ḳhud maqām hai yaaro
ek vaqtī surūr-e-bulhavasī
ishq kaif-e-davām hai yaaro
kār-e-yazdāñ jise samajhte ho
vo tumhārā hī kaam hai yaaro
magar duniyā ba-maslahat bhī ġhalat
diin isī kā to naam hai yaaro
zindagī merā saath de ki na de
maut mujh par harām hai yaaro
azm mazbūt hausle mohkam
vaqt kis shai kā naam hai yaaro
fikr-e-'anjum' ko shā.irī na kaho
ek ġhaibī payām hai yaaro
Top Urdushayar.com