Anjum Fauqi Badayuni

kis ka bhed kahan ki qismat pagle kis janjal mein hai

Anjum Fauqi Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-1995
kis kā bhed kahāñ kī qismat pagle kis janjāl meñ hai
baazī hai ik sāda-kāġhaz saarā kartab chaal meñ hai
ek raheñ yā do ho jaa.eñ rusvā.ī har haal meñ hai
jīvan ruup kī saarī shobhā jīvan ke janjāl meñ hai
tujh se bichhaḌ kar tujh se mil kar donoñ mausam dekh liye
baat jahāñ thī ab bhī vahīñ hai farq zarā sā haal meñ hai
āḳhir uuprī hamdardī ko rañg to ik din laanā thā
baat thī pahle chand gharoñ tak ab duniyā bhauñchāl meñ hai
tum apnī āñkhoñ kī laalī phūloñ meñ taqsīm karo
mere dil kā haal na pūchho rahne do jis haal meñ hai
jīvan bhedan kī chintā chhoḌo aao kuchh is par baat kareñ
ham dhartī ke phande meñ haiñ dhartī kis ke jaal meñ hai
'anjum' pyaar jise kahte haiñ us ke Dhañg nyāre haiñ
chup meñ hai sukh chain na koī rāhat qīl-o-qāl meñ hai
Top Urdushayar.com