Anjum Fauqi Badayuni

hudud-e-zat mein auron ka zikr hi kya hai

Anjum Fauqi Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-1995
hudūd-e-zāt meñ auroñ kā zikr hī kyā hai
ḳhud aadmī bhī na samjhā ki aadmī kyā hai
ye fāsle jo tire qurb kī zamānat haiñ
simaT ga.e to batā.ūñgā zindagī kyā hai
hamī ko ḳhaak samajh lo tumhārī umr-e-darāz
ye tazkira to mukammal ho aadmī kyā hai
hijāb-e-zāt se bāhar kahāñ abhī ham log
abhī ye kaun batā.e ki aadmī kyā hai
kahā na thā ki mohabbat kā tazkira na karo
kise ḳhabar thī ki me.arāj-e-zindagī kyā hai
savāl ye hai ki tum kyā nigāh rakhte ho
niyāz-mand to vāqif hai bandagī kyā hai
ravā nahīñ hai musalsal gurez-e-naqd-o-nazar
kabhī kabhī to batāo ki zindagī kyā hai
abhī to mujh se ḳhudā.ī kī had meñ baat karo
ḳhudā bano to batānā ki aadmī kyā hai
jabīn-e-shauq pe sajdoñ ke daaġh ai 'anjum'
ye bandagī hai to me.ār-e-bandagī kyā hai
Top Urdushayar.com