Anjum Fauqi Badayuni

choT kha kar jo muskuraate hain

Anjum Fauqi Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-1995
choT khā kar jo muskurāte haiñ
har balā se najāt paate haiñ
tere bande ḳhudā nahīñ bante
dūsroñ ko ḳhudā banāte haiñ
maut se jo vafā nahīñ karte
zindagī se shikast khāte haiñ
vo harīf-e-nazar kabhī na hue
aa.ine haiñ ki TuuTe jaate haiñ
ham kisī kā gilā nahīñ karte
vaqt kī aabrū baḌhāte haiñ
hādsoñ se farār kyā ma.anī
hādse zindagī banāte haiñ
ham ki apnī taraf na dekh sake
log un se nazar milāte haiñ
vaqt kī raushnī pe naaz na kar
vaqt ke ruḳh badal bhī jaate haiñ
zikr-e-ilm-o-adab na chheḌ 'anjum'
hazrat-e-'fauq' yaad aate haiñ
Top Urdushayar.com