be-ḳhabar duniyā ko rahne do ḳhabar karte ho kyuuñ
dosto mere dukhoñ ko mushtahar karte ho kyuuñ
koī darvāza na kholegā sadā-e-dard par
bastiyoñ meñ shor-o-ġhul shaam o sahar karte ho kyuuñ
mujh se ġhurbat mol le kar kaun ghar le jā.egā
tum mujhe rusvā sar-e-bāzār-e-zar karte ho kyuuñ
aañkh ke andhoñ ko kyuuñ dikhlāte ho parvāz-e-harf
kāġhazoñ pe ab tamāshā-e-hunar karte ho kyuuñ
tazkira likhte ho kyā merī shikast-o-reḳht kā
lafz kī bastī meñ ma.anī ko khañDar karte ho kyuuñ
dosto! bīnā.ī baḳhshegī tumheñ un kī uḌaan
panchhiyoñ ko chhoḌ do be-bāl-o-par karte ho kyuuñ
lafz agar bote to phir fasl-e-ma.ānī kāTte
dosto! ab shikva-e-ahl-e-hunar karte ho kyuuñ
zālimoñ ke saath mil jaao rahoge aish meñ
umr 'sājid' kasmapursī meñ basar karte ho kyuuñ