dostoñ ko mirī zarūrat hai
qadr-dānī nahīñ ye qīmat hai
aadmī bār-e-ādamiyat hai
hādse kī ashad zarūrat hai
un ke lab haiñ mirī shikāyat hai
kitnā badlā hai vaqt-e-hairat hai
do diloñ ke milāp kī ḳhvāhish
pahle ḳhvāhish thī ab nadāmat hai
maiñ jahāñ huuñ kafīl huuñ apnā
tum jahāñ ho mirī zarūrat hai
ādamiyat kā irtiqā maiñ huuñ
aadmī se mujhe mohabbat hai
aao ik dūsre ko pyaar kareñ
pyaar karnā baḌī ibādat hai