Anjum Fauqi Badayuni

mujhko na aazma sitam-e-rozgar se

Anjum Fauqi Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-1995
mujh ko na aazmā sitam-e-rozgār se
maiñ tujh se duur huuñ na tire iḳhtiyār se
badleñge ahl-e-dil na kisī e'tibār se
sarkār dushmanī se navāzeñ ki pyaar se
ye kyā ki sirf rañg gulistāñ badal diyā
ham ne kuchh aur bhī to kahā thā bahār se
yārab ye kis nahaj pe haiñ dil ke muāmalāt
ham ġhair-mutma.in se na vo be-qarār se
āḳhir ḳhud apne sāmne aanā paḌā hameñ
uktā chuke the silsila-e-intizār se
barse haiñ kis ke ḳhuun ke bādal chaman chaman
laa.ī kahāñ se rañg ye pūchho bahār se
ham ro liye ki sabz-o-gul meñ tarī rahe
hañste agar to aag barastī bahār se
be-shak hai nā-ḳhudā kī mohabbat bhī un ke saath
'anjum' ḳhudā kā naam jo lete haiñ pyaar se
Top Urdushayar.com