yuuñ to sab duniyā meñ duniyā har-ik mahfil meñ hai
maiñ huuñ jis duniyā meñ vo duniyā tumhāre dil meñ hai
is haqīqat se bhī ai arbāb-e-sāhil hoshiyār
ek nā-mālūm tūfān parda-e-sāhil meñ hai
be-ḳhabar haiñ qāfile vaale abhī is raaz se
manzil-e-maqsūd rāhoñ meñ nahīñ hai dil meñ hai
maiñ ne hī kuchh soch kar us ko batā dī rāh-e-dost
varna is manzil meñ kab thā ishq jis manzil meñ hai
tum mirī jānib agar dekho to maiñ kuchh bhī nahīñ
maiñ agar dil kī taraf dekhūñ to sab kuchh dil meñ hai
ab to 'anjum' saarī duniyā gosh-bar-āvāz hai
kah bhī do mard-e-ḳhudā jo kuchh tumhāre dil meñ hai