Iqbal Sajid

wo musalsal chup hai tere samne tanhai mein

Iqbal Sajid

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1932-1988
vo musalsal chup hai tere sāmne tanhā.ī meñ
sochtā kyā hai utar jā baat kī gahrā.ī meñ
surḳh-rū hone na paayā thā ki piilā paḌ gayā
chāñd kā bhī haath thā jazbāt kī paspā.ī meñ
be-libāsī hī na ban jaa.e kahīñ terā libās
ā.īne ke sāmne pāgal na ho tanhā.ī meñ
tū agar phal hai to ḳhud hī TuuT kar dāman meñ aa
maiñ na phekuñgā koī patthar tirī añgnā.ī meñ
rāt-bhar vo apne bistar par paḌā rotā rahā
duur ik āvāz banjar ho ga.ī shahnā.ī meñ
dā.ere baḌhte ga.e parkār kā muñh khul gayā
vo bhī dāḳhil ho gayā ab sarhad-e-rusvā.ī meñ
habs to dil meñ thā lekin aañkh tap kar rah ga.ī
raat saarā shahr Duubā dard kī purvā.ī meñ
aañkh tak bhī ab jhapakne kī mujhe fursat nahīñ
naqsh hai dīvār par tasvīr hai bīnā.ī meñ
log vāpas ho ga.e 'sājid' numā.ish gaah se
aur maiñ khoyā rahā ik mahshar-e-ra.anā.ī meñ
Top Urdushayar.com