mahfil meñ raat raat ujālā usī kā hai
sāġhar kī gardishoñ meñ havāla usī kā hai
us rañg-chor ne to dhanak ko churā liyā
aayā hai chāñdnī meñ to haala usī kā hai
ham to akele roz ulajhte haiñ ḳhvāb se
kuchh bojh zindagī kā sambhālā usī kā hai
dar dar bhaTakte rahne kī aadat nahīñ magar
mahfil se ye ġharīb nikālā usī kā hai
'ārif' 'shamīm' saath chaleñ raat ho ga.ī
raste meñ chāñd taarā uchhālā usī kā hai