Syed Arif

hamare sath zamana bhi chalne lagta hai

Syed Arif

1949
hamāre saath zamāna bhī chalne lagtā hai
sitāre dekh ke rasta badalne lagtā hai
gumān aisā ki manzil milegī raste meñ
magar nayā sā jo rasta nikalne lagtā hai
gale to lagtā hai vo be-ḳhudī ke aalam meñ
zarā jo hosh meñ aa.e sambhalne lagtā hai
usī kā ḳhvāb hai āñkhoñ ke tapte sahrā meñ
usī kī yaad meñ dil bhī machalne lagtā hai
kisī kī yaad hamesha sambhāl rakkhūñ magar
lahū ke saath badan bhī to jalne lagtā hai
Top Urdushayar.com