pata kaise chale duniyā ko qasr-e-dil ke jalne kā
dhueñ ko rāsta miltā nahīñ bāhar nikalne kā
batā phūloñ kī masnad se utar ke tujh pe kyā guzrī
mirā kyā maiñ to aadī ho gayā kāñToñ pe chalne kā
mire ghar se ziyāda duur sahrā bhī nahīñ lekin
udāsī naam hī letī nahīñ bāhar nikalne kā
chaḌhegā zahr ḳhushbū kā use āhista āhista
kabhī bhugtegā vo ḳhamyāza phūloñ ko masalne kā
musalsal jāgne ke ba.ad ḳhvāhish ruuTh jaatī hai
chalan sīkhā hai bachche kī tarah us ne machalne kā
zar-e-dil le ke pahuñchā thā matā-e-jāñ bhī kho baiThā
diyā us ne na mauqa.a bhī kaf-e-afsos milne kā
ḳhushī se kaun kartā hai ġhamoñ kī parvarish 'sājid'
kise hai shauq logo dard ke sāñche meñ Dhalne kā