Syed Arif

laghzishon se mawara tu bhi nahin main bhi nahin

Syed Arif

1949
laġhzishoñ se māvarā tū bhī nahīñ maiñ bhī nahīñ
donoñ insāñ haiñ ḳhudā tū bhī nahīñ maiñ bhī nahīñ
tū mujhe aur maiñ tujhe ilzām detā huuñ magar
apne andar jhāñktā tū bhī nahīñ maiñ bhī nahīñ
maslahat ne kar diyā donoñ meñ paidā iḳhtilāf
varna fitrat kā burā tū bhī nahīñ maiñ bhī nahīñ
chāhte donoñ bahut ik dūsre ko haiñ magar
ye haqīqat māntā tū bhī nahīñ maiñ bhī nahīñ
jurm kī nauiyyatoñ meñ kuchh tafāvut ho to ho
dar-haqīqat pārsā tū bhī nahīñ maiñ bhī nahīñ
raat bhī vīrāñ fasīl-e-shahr bhī TuuTī huī
aur sitam ye jāgtā tū bhī nahīñ maiñ bhī nahīñ
jān-e-'ārif' tū bhī ziddī thā anā mujh meñ bhī thī
donoñ ḳhud-sar the jhukā tū bhī nahīñ maiñ bhī nahīñ
Top Urdushayar.com