ra.ūnatoñ meñ na itnī bhī intihā ho jaa.e
ki aadmī na rahe aadmī ḳhudā ho jaa.e
usī ke paas ho sab iḳhtiyār bolne kā
aur us ke sāmne har shaḳhs be-sadā ho jaa.e
ghire hue haiñ ajab ahd-e-be-yaqīnī meñ
ḳhabar nahīñ ki kahāñ kis ke saath kyā ho jaa.e
kahāñ kahāñ se uThā.e saroñ kī fasl koī
tamām shahr hī jab dasht-e-karbalā ho jaa.e
ab is se baḌh ke tire saath kyā mohabbat ho
maiñ tujh ko yaad karūñ aur sāmnā ho jaa.e
ta.alluqāt meñ gunjā.isheñ to hotī haiñ
zarā sī baat pe kyā aadmī ḳhafā ho jaa.e
ham ahl-e-harf baḌe sāhab-e-karāmat haiñ
hamāre haath meñ patthar bhī aa.inā ho jaa.e
ham ik ishāre se ruḳh moḌ deñ havāoñ kā
nazar kareñ to samundar meñ rāstā ho jaa.e
kabhī to manzil-e-sub.h-e-yaqīñ mile 'ārif'
kahīñ to ḳhatm gumānoñ kā silsila ho jaa.e