Dartā huuñ zindagī ke vasīle nahīñ mile
ā.ankhoñ ko ab ke ḳhvāb rañgīle nahīñ mile
sūraj kī pyaas thī jo samundar sukhā ga.ī
ham ko rasīle hoñT bhī giile nahīñ mile
bikhrā huā milā hai har ik fard bhī vahāñ
ābād the magar vo qabīle nahīñ mile
itnī sī baat par hameñ nārāz vo milā
lauTe jo shahr se to sajīle nahīñ mile
'ārif' hamārā dil jo bujhā bujh ke rah gayā
ḳhāmosh do nayan jo nashīle nahīñ mile