jo kuchh apne dil par guzrī kuchh na kaho to behtar hai
hañs hañs kar hī 'ārif' us kī baat suno to behtar hai
sun lo dil ke saude meñ ab jhuuT bhī kaam na aa.egā
ūbaḌ-khābaḌ raste par ab saath chalo to behtar hai
mausam badlā bijlī chamkī manzar saarā bhiig gayā
apne apne ghar chalne kī baat karo to behtar hai
shīsh-mahal kā dhokā denā ab itnā āsān nahīñ
TūTī-phūTī kuTiyā meñ ḳhāmosh raho to behtar hai
āḳhir kab tak duur rahoge us kī mīThī bātoñ se
TuuTe rishte phir se joḌo aisā ho to behtar hai