sailāb qasr-e-dil se guzartā huā sā hai
shīshe kā ye makān bikhartā huā sā hai
Thahre kahāñ nigāh ki sūraj hai sāmne
āñkhoñ meñ dhuup dasht utartā huā sā hai
kuchh bhī milā nahīñ hai samundar meñ Duub kar
lekin jazīra koī ubhartā huā sā hai
dhuñdlā rahe haiñ naqsh havādis kī maar se
manzar tumhārī yaad kā martā huā sā hai
ghar meñ udāsiyoñ kā hai mela lagā huā
mausam ġhamoñ kā apne nikhartā huā sā hai
lekin mujhe ye shaam jagā.egī rāt-bhar
din kā har ek zaḳhm to bhartā huā sā hai