aatā hai koī haath agar haat safar meñ
kuchh aur bhaḌak jaate haiñ jazbāt safar meñ
lahrātā hai āñkhoñ meñ kisī yaad kā manzar
be-vaj.h bhī ho jaatī hai barsāt safar meñ
be-jism chalā aatā huuñ galiyoñ meñ nagar kī
kaT jaatī hai mujh se hī mirī zaat safar meñ
mujh ko hī uḌānī hai yahāñ ḳhaak bhī apnī
vaise to hai ik bhiiḌ mire saath safar meñ
be-dard havā.eñ to badan chaaT rahī haiñ
mausam bhī karegā jo koī ghaat safar meñ