Syed Arif

Thik hai ujli yaad ka rishta apne dil se TuTa bhi

Syed Arif

1949
Thiik hai ujlī yaad kā rishta apne dil se TuuTā bhī
dariyā dariyā aag ugaltā lekin tum ne dekhā bhī
mere safar kī pahlī manzil jaane kab tak aa.egī
haañp rahā hai sadiyoñ purānā būḌhā nañgā rasta bhī
shor sharāba andar andar bāhar gahrī ḳhāmoshī
jaag uThegā ab ke shāyad koī bāġhī lamha bhī
sāgar motī siip ke qisse bātoñ tak mahdūd rahe
jholī jholī ḳhālī sab kī sab kā man hai mailā bhī
mausam mausam yaad meñ terī tanhā ham ne kaaT diye
ik lamhe ke mel kā rishta sach hai koī rishta bhī
pahle din se riit hai ye to phir in meñ pachhtānā kyā
pyaar vafā ke khel meñ 'ārif' ho jaatā hai dhoka bhī
Top Urdushayar.com