milā to hādisa kuchh aisā dil ḳharāsh huā
vo TuuT phuuT ke bikhrā maiñ paash paash huā
tamām umr hī apne ḳhilāf sāzish kī
vo ehtiyāt kī ḳhud par na raaz faash huā
sitam to ye hai vo farhād-e-vaqt hai jis ne
na jū-e-shīr nikālī na but-tarāsh huā
yahī to dukh hai burā.ī bhī qā.ede se na kī
na maiñ sharīf rahā aur na bad-ma.āsh huā
ho ek baar kā ronā to ro.uuñ bhī dil ko
ye aa.ina to ka.ī baar paash paash huā
balā kā habs thā 'sājid' havā kī bastī meñ
chalī jo saañs kī aarī maiñ qaash qaash huā