Arshad Aziz

maqam-e-zat kya hai lan-tarani kis ko kahte hain

Arshad Aziz

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1978
maqām-e-zāt kyā hai lan-tarānī kis ko kahte haiñ
ḳhudā hī jāntā hai dīd-bānī kis ko kahte haiñ
banā jab maiñ sanā-ḳhvān-e-mohammad to khulā mujh par
karam shafqat ināyat mehrbānī kis ko kahte
husain ibn-e-alī ne ahal-e-maktab ko batāyā hai
sināñ kī nok par qur.ān-ḳhvānī kis ko kahte haiñ
agar dariyā se hī us kī vazāhat ho nahīñ paa.ī
to pyāsā kyā batā.egā ki paanī kis ko kahte haiñ
jo ḳhud ko dā.iyān-e-hurriyat kahte nahīñ thakte
unheñ pūchheñ zarā burhān-vānī kis ko kahte haiñ
tumhārī aañkh par aayā savāl urdu ke parche meñ
batāo lājavrdī arġhavānī kis ko kahte haiñ
uThāyā dosh-e-mizhgāñ par jo bār-e-ḳhvāb to jaanā
girānī kyā balā hai nā-tavānī kis ko kahte haiñ
abhī aa jā.eñge le kar sabhī asbāb mahshar ke
maiñ yūñhī pūchh baiThā thā javānī kis ko kahte haiñ
sahar se peshtar jis kī basārat chhin ga.ī 'arshad'
vahī samjhā sakegā rā.egānī kis ko kahte haiñ
Top Urdushayar.com