tumhārī bastī meñ kārḳhāna lagā huā hai
hamāre jaisoñ kā āb-o-dāna lagā huā hai
yahāñ koī chiiz bhī nahīñ ho rahī hai ta.amīr
ye sab abas toḌnā banānā lagā huā hai
mirī ravish to zamāne se thoḌī muḳhtalif hai
mire ta.āqub meñ kyoñ zamāna lagā huā hai
ik aise ghoḌe kī baag hāthoñ meñ dī ga.ī hai
jise muqaddar kā tāziyāna lagā huā hai
maiñ raat ke āḳhirī pahar se ye kah rahā huuñ
ki mez par dopahar kā khānā lagā huā hai
vo kyā ki sab tishna-kāmiyāñ juuñ kī tuuñ paḌī haiñ
ye kyā ki dariyā kā ābyāna lagā huā hai
udhar kisī aur hī zamāne kā tai huā thā
idhar koī aur hī zamāna lagā huā hai
hai rūh-parvar 'azīz' ye jāñkanī kā aalam
ki yaar logoñ kā aanā jaanā lagā huā hai