hamārī aañkh meñ paanī nahīñ hai
ye sahrā.ī hai bārānī nahīñ hai
yahāñ jiinā zarā dushvār hogā
yahāñ marne kī āsānī nahīñ hai
agar is kā koī saanī nahīñ hai
to phir ye kam pareshānī nahīñ hai
hameñ ārām aatā bhī to kaise
hamārī choT jismānī nahīñ hai
nahīñ mumkin mirā ābād honā
ki vīrānī sī vīrānī nahīñ hai
tujhe sun kar pareshānī to hogī
mujhe koī pareshānī nahīñ hai