jo bhī hai ranj-o-ġham ḳhatm ho jā.egā
us se karvāo dam ḳhatm ho jā.egā
ḳhud meñ itnī ziyāda havā mat bharo
saañs kā zer-o-bam ḳhatm ho jā.egā
ḳhvāb kī fasl hī gar jalā dī ga.ī
to ilāqe se nam ḳhatm ho jā.egā
ek āvāz aa.egī bas aur phir
silsila ek dam ḳhatm ho jā.egā
mere ġham se zarā vāqafiyyat baḌhā
dekhnā terā ġham ḳhatm ho jā.egā
apnī mushkil batātā nahīñ maiñ use
merā saarā bharam ḳhatm ho jā.egā
apne hone kī itnī dalīleñ na de
tū ḳhudā kī qasam ḳhatm ho jā.egā
kyā muqaddar meñ chhoTī sī tarmīm se
bām-e-lauh-o-qalam ḳhatm ho jā.egā
mere naqsh-e-qadam par na chalnā 'azīz'
merā naqsh-e-qadam ḳhatm ho jā.egā