Arshad Aziz

main baDhata ja raha tha is liye daftar ki baat

Arshad Aziz

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1978
maiñ baḌhātā jā rahā thā is liye daftar kī baat
beach chaurāhe meñ laa.ī jā rahī thī ghar kī baat
ab to apnī guftugū hotī hai us se is tarah
jaise ik mātahat se hotī hai ik afsar kī baat
ālam-e-maujūd se bāhar nikal ke sochiye
gumbad-e-be-dar kī bāteñ aur pas-e-manzar kī baat
shā.irī ne baat kahne kī suhūlat dī mujhe
varna maiñ bāhar na lā paatā kabhī andar kī baat
shaah aur begam kī bāteñ ho chukī hoñ ḳhatm to
kījiye hālāt ke maare hue joker kī baat
ijtimā-e-ḳhās meñ us kā mujhe kahnā 'azīz'
maiñ samajhtā huuñ ye hai mere liye honour kī baat
Top Urdushayar.com