apne andar kā kuchh ubaal nikāl
ai suḳhnavar nayā ḳhayāl nikāl
log malbe tale dabe hue haiñ
chhoḌ kāġhaz qalam kudāl nikāl
tū bahut vaqt le chukā hai mirā
ab mire roz-o-māh-o-sāl nikāl
yā mirī baat kā javāb banā
yā mire zehn se savāl nikāl
dekhtā huuñ maiñ terī shīshagarī
chal zarā aa.ine se baal nikāl
joḌ ā.inda ko guzishta se
aur is meñ se merā haal nikāl
is ko chūn-o-charā pasand nahīñ hai
apnī bātoñ se qīl-o-qāl nikāl
maiñ tire sāmne paḌā huā huuñ
aa.ine mere ḳhadd-o-ḳhāl nikāl
tū to kahtā thā saiñkaḌoñ haiñ 'azīz'
chal koī ek hī nikāl nikāl