hāshiye par likhī huī huuñ maiñ
amn kī baat āḳhirī huuñ maiñ
maiñ vahīñ huuñ jahāñ mile the ham
kis qadar pīchhe rah ga.ī huuñ maiñ
us se kahnā thā bhuul jaao mujhe
phone par phone kar rahī huuñ maiñ
jab vo gahne dikhāne aatī hai
us ke sab chhed dekhtī huuñ maiñ
bech kar zevrāt shādī ke
chand ḳhushiyāñ ḳharīdtī huuñ maiñ
tum girā kar mujhe sambhal na sake
aur gir kar sambhal ga.ī huuñ maiñ
pattharoñ ko batā diyā hai nā
apne baabā kī lāDlī huuñ maiñ