kab tasavvur meñ tire dīda-e-tar band kiyā
ḳhāna-e-ā.ina meñ tujh ko nazar-band kiyā
kyā nazākat hai sabā us kī kamar kī jis ne
sub.h-dam tār-e-rag-e-gul se qamar-bañd kiyā
dil kā ahvāl jo khultā nahīñ tū ne ai chashm
qāsid-e-ashk ko aane se magar band kiyā
rāhat-e-ḳhvāb-e-adam dekh ke sab ne yak-dast
naqsh-e-pā se kaf-e-har-ḳhāk meñ dar-band kiyā
dekh 'mārūf' ki us shoḳh ne shab ko yak-dast
tā.ir-e-rañg-e-hinā ko ba-hunar band kiyā