pūchho na kuchh kaTe hai ab auqāt kis tarah
hai ye hī ġham ki ā.eñge vo haat kis tarah
'mārūf' se ye maiñ ne jo pūchhā ki in dinoñ
batlā tire guzarte hai auqāt kis tarah
kahne lagā ki rote guzartā hai mujh ko din
phir maiñ kahā ki din to huā raat kis tarah
bolā ki raat vaqt-e-mulāqāt-e-yār hai
pūchhā jo maiñ ki shakl-e-mulāqāt kis tarah
bolā ki ham ko ek munājāt yaad hai
maiñ ne kahā sunīñ vo munājāt kis tarah
be-iḳhtiyār ro ke kahā dil lagā kahīñ
kahne kī baat hai ye kahūñ baat kis tarah